darakht dhup se ladta hai is qadar din-bhar phalon se shakhon se rahta hai be-khabar din-bhar na aabshaar na panchhi na jaanwar na darakht ajib dasht mein karta raha safar din-bhar dhali jo sham to bachche sa so gaya suraj dikha raha tha kai tarah ke hunar din-bhar mere nasib mein kya aur kuchh likha hi nahin safar mein rahta hun ghar par main raat-bhar din-bhar sawera hote hi sab kaam par nikalte hain udas udas sa rahta hai mera ghar din-bhar qubul kaise dua ho bhala charaghon ki ki apni jaan bhi rah jae mo'atabar din-bhar