dard halka hai sans bhaari hai jiye jaane ki rasm jari hai aap ke baad har ghadi hum ne aap ke sath hi guzari hai raat ko chandni to odha do din ki chadar abhi utari hai shakh par koi qahqaha to khile kaisi chup si chaman pe tari hai kal ka har waqia tumhaara tha aaj ki dastan hamari hai