dard ho to dawa kare koi ishq gar ho to kya kare koi hai jo aana to ai ajal jald aa rah kab tak taka kare koi tum na mano to dil ko samjha le dil na mane to kya kare koi wo masiha na aaega ai dil jaan apni diya kare koi tum jo dil mein raho to phir nahaq dar-ba-dar kyun phira kare koi kuchh kahani nahin mera qissa tum suno aur kaha kare koi apni qismat hi ko bura na kahe aap ka kyun gila kare koi mujh pe jo hijr mein guzarti hai us se kah de khuda kare koi dil buton ko diya khuda ko jaan faisla aur kya kare koi kyun bigadte ho gar kaha mashuq tum ko kya hai kaha kare koi tum to nazron mein phirte rahte ho dil mein kis tarah ja kare koi ba-wafa se sabhi nibahte hain bewafa se wafa kare koi dukh uthane ki had bhi hai zalim ranj kab tak saha kare koi dil-dahi bhi tujhe nahin aati jaan kyun-kar fida kare koi aap ki chaal to qayamat hai yun hi kab tak mita kare koi but bhi 'anjum' kahin hue hain khuda kahne ko yun kaha kare koi
This is a great aashiq mashook shayari. True lovers of bura mat mano shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore aankho ka kajal shayari. Please share if you liked this!!!