dard hoga to kya bura hoga ishq ka qarz kuchh ada hoga khun se jo khutut likhta tha han wahi bewafa bana hoga gar inayat kisi ne ki tujh par is mein us ka hi kuchh bhala hoga phir yaqinan koi jafa hogi us ka wada agar wafa hoga aaj lagta hai sab hamare hain kal hamara kise pata hoga dard buniyaad-e-zindagi hai 'raaz' is pe kaise mahal khada hoga