dard ki sakit nadi phir se rawan hone ko hai mauj-e-hairat ka tamasha ab kahan hone ko hai jo giran-bar-e-samaat tha kabhi sab ke liye ab wahi kalima yahan husn-e-bayan hone ko hai kyun karen wo apni qismat ke sitare ki talash dastaras mein jin ke sara aasman hone ko hai mujh ko us manzil se guzre kitni muddat ho gai waqt meri justuju mein ab jahan hone ko hai tajarbe ki aanch par har shai hai yun aatash-bajaan chandni bhi surat-e-barq-e-tapan hone ko hai aasman tirshul aur ghauri se hai sahma hua fakhta ka zikr aise mein kahan hone ko hai ghar mein hai aab-e-rawan to barf hai manjdhaar mein kuchh na puchho dahr mein ab kya kahan hone ko hai