dariya ki taraf dekh lo ek bar mere yar ek mauj ki kahti hai mere yar mere yar virani-e-gulshan pe hi mamur hai mausam mitti se nikalte nahin ashjar mere yar kya khak kisi ghair pe dil ko ho bharosa apne bhi hue jate hain aghyar mere yar maqtal si faza rahti hai is mulk mein har-dam dekhe hain manazir kai khun-bar mere yar hum khak-nashinon ki yahan kaun sunega unche hain bahut khwab ke darbar mere yar dekho ye chalan thik nahin ishq mein hargiz wade se mukar jate ho har bar mere yar do chaar hi alfaz mohabbat se bhare hon to dasht ko kar dete hain gulzar mere yar 'hassan' jawan khub teri mashq-e-sukhan hai har roz kahe jate ho ashaar mere yar