dariya ruka hua tha magar main safar mein tha ek raushni ka aks bhi mere hunar mein tha odha hua tha sach ka labaada wajud ne lekin shuur jhut ke andhe nagar mein tha har raste ki dhul paron mein samet kar anjaan manzilon ka parinda safar mein tha bazar mein thi hanste charaghon ki raushni bujhte hue diye ka dhuan mere ghar mein tha kanda tha khwahishon ka fasana fasil par zinda haqiqaton ka lahu ek khandar mein tha utri thi raat shahr mein aansu liye hue ek qafila sahar ka kahin rahguzar mein tha 'tahir' mere wajud ki boli to de gaya shayad wo apni zat ke nilam-ghar mein tha