darun-e-jism ek tufan utha tha jo dekha dur tak malba pada tha musalsal dhul se jaise ata tha hamein to aasman sahra laga tha na us shab chand ubhra aur na tare hamara hijr to tanha kata tha jo tum bichhde to khud ko chhod aae hamari dastaras mein aur kya tha na utri chandni na roi shabnam ajab ek dhund ka mausam bana tha musalsal uljhanon mein wo ghira tha mujhe wo shakhs kab tanha mila tha kureda kya utar aai nami si wo sahra hi abhi shayad naya tha udai dhul khwabon mein musalsal meri aankhon mein ek wahshat-kada tha jawaz is mein khushi ka kya hai 'tara' ba-sad mahrumi wo tujh se mila tha