dast-e-talab daraaz ziyaada na kar sake hum zindagi se koi taqaza na kar sake chunki karam pe hum tere shubha na kar sake bas ai khuda gunah se tauba na kar sake jab e'tibar-e-zauq-e-nazar bhi na mil saka nazron ko apni waqf-e-nazara na kar sake tu jab qarib-e-jaan bhi qarib-e-nazar bhi tha hum bhi ba-zoam-e-ishq iada na kar sake phir to tera khayal bhi aaya nahin kabhi phir hum teri talab bhi gawara na kar sake