daulat-e-khusrawi na dekh taj-e-sikandari na dekh sirat-e-baatini pe ja surat-e-zahiri na dekh wadi-e-dil-nawaz se jism ke ghaar mein utar zauq-e-nazar ka wasta surat-e-sarsari na dekh ek nazar ki muntazir bazm-e-qaza-o-qadr hai mast mai-e-alast mein shan-e-sikandari na dekh lakh qadam qadam pe hain rah-e-wafa mein mushkilen sabr ko rahnuma bana rasm-e-sitamgari na dekh lakh haram ki ghat mein aaj butan-e-kufr hain misl-e-kalim rakh nazar jadu-e-samri na dekh hijr ki aag mein jala aath pahar 'niyaz' ko tujh ko junun ka wasta haalat-e-abtari na dekh