dayar-e-ghair mein koi to aasra nikla wo ajnabi tha mere apne ganw ka nikla wagarna kaun mohabbat yahan nibha pata khuda ka shukr judai ka rasta nikla main sab ko rah dikhate yahan talak aaya phir apne ghar ka pata puchhta hua nikla main ek umr jise sang hi samajhta raha wo ek shakhs mohabbat mein mubtala nikla