dayar-e-ishq ki shaMein jala to sakte hain

dayar-e-ishq ki shamen jala to sakte hain
khushi mile na mile muskura to sakte hain

hamesha wasl mayassar ho ye zaruri nahin
do ek din ko tere pas aa to sakte hain

jo raaz-e-ishq hai un ko chhupaenge lekin
jo dagh-e-ishq hain sab ko dikha to sakte hain

hum imtihan mein nakaam hun ye ranj nahin
isi mein khush hain ki wo aazma to sakte hain

nasim-e-subh ke jhonke hain khush-gawar magar
kabhi kabhi ye dilon ko dikha to sakte hain

yahi bahut hai ki is khar-zar-e-duniya mein
tujhe hum apne gale se laga to sakte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close