de sako to zindagani do mujhe lafz to main hun maani do mujhe kho na jae mujh mein ek bachcha hai jo yun karo koi kahani do mujhe ham-zaban mera yahan koi nahin lao apni be-zabani do mujhe hai hawa darkar meri aag ko kab kaha us ne ki pani do mujhe ek manzil ne to 'danish' ye kaha raston ki kuchh nishani do mujhe