dekh tera jamal kuchh ka kuchh

dekh tera jamal kuchh ka kuchh
dil mein aaya khayal kuchh ka kuchh

aaj lagta hai meri aankhon mein
wo mera naunihaal kuchh ka kuchh

dekh us manharan ki aankhon ko
ho gaya us ka haal kuchh ka kuchh

khat pe us ke to thi kuchh aur hi bahaar
hai faribinda khal kuchh ka kuchh

hai taraqqi mein us khush-abru ka
husn misl-e-hilal kuchh ka kuchh

haal dikhlate hain zamane ka
gardish-e-mah-o-sal kuchh ka kuchh

ai 'jahandar' mashq-e-sher mein ab
tu ne paya kamal kuchh ka kuchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close