dekhta rahta hun main teri ghazali aankhen dekh to tu bhi zara meri sawali aankhen chashm-e-ahu se na nargis se hai tashbih durust hain misal aap hi wo apni nirali aankhen barhami husn ko kuchh aur jila deti hai wo jamali tera chehra wo jalali aankhen aa ke har roz tasawwur mein bana jati hai ek rangin si taswir khayali aankhen khat padhe ya na padhe aae na aae wo shokh 'khar' kyun bhej na den dekhne wali aankhen