dhaDakte sans lete rukte chalte maine dekha hai

dhadakte sans lete rukte chalte main ne dekha hai
koi to hai jise apne mein palte main ne dekha hai

tumhaare khun se meri ragon mein khwab raushan hai
tumhaari aadaton mein khud ko dhalte main ne dekha hai

na jaane kaun hai jo khwab mein aawaz deta hai
khud apne-ap ko nindon mein chalte main ne dekha hai

meri khamoshiyon mein tairti hain teri aawazen
tere sine mein apna dil machalte main ne dekha hai

badal jaega sab kuchh baadalon se dhup chatkhegi
bujhi aankhon mein koi khwab jalte main ne dekha hai

mujhe malum hai un ki duaen sath chalti hain
safar ki mushkilon ko hath malte main ne dekha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close