dhakke diye hain dhup ne sae gale paDe

dhakke diye hain dhup ne sae gale pade
tum sath jab nahin the to raste gale pade

ab khatm ho chuka hai buzurgon ka ehtiram
dariya ko aa ke aaj kinare gale pade

tum ja chuke the aur yahan phir tumhaare baad
ek dusre ko chahne wale gale pade

kya aur koi shahar mein milta nahin use
aa aa ke roz ishq hamare gale pade

is muflisi ke bojh ne halka kiya mujhe
main khali hath aaya to bachche gale pade

ai dost is tarah bhi guzarti hai zindagi
is ke gale pade kabhi us ke gale pade

dil se tumhaara nam mitane ki der thi
phir is ke baad ped parinde gale pade


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close