dharti par sab dard ke mare kis ke hain

dharti par sab dard ke mare kis ke hain
aasman par chand sitare kis ke hain

sunte hain wo shakhs to ghar hi badal gaya
phir ye dil-awez ishaare kis ke hain

kis sahra ki dhul hai sab ki aankhon mein
be-mauj o be-rud kinare kis ke hain

ab kya sochna aisi-waisi baaton pe
un hathon ne baal sanware kis ke hain

kaun hai is rim-jhim ke pichhe chhupa hua
ye aansu sare ke sare kis ke hain

kisi pahad ki choti par chadh kar dekho
aankhon se ojhal nazzare kis ke hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close