dhuan-dhuan hai sar-e-asman khuda-hafiz dhadak raha hai dil-e-na-tawan khuda-hafiz na koi mir-e-safar hai na koi manzil hai bhatak raha hai mera karwan khuda-hafiz na iltifat na pursish na wasta na kalam wo ho gae hain bahut bad-guman khuda-hafiz na jaane ahl-e-wafa par ab aur kya guzre badal raha hai nizam-e-jahan khuda-hafiz chala tha sath magar raat ke andhere mein bichhad gaya wo kahin mehrban khuda-hafiz bhari bahaar mein ye haal hai gulistan ka muhit rahti hai har dam khizan khuda-hafiz 'jamil' yaad hai ab tak ki dida-e-tar se kaha tha us ne tah-e-saeban khuda-hafiz