dhuen ki ot se bahar bhi aa gaya hota hamare sath agar rishta-e-hawa hota use bhi shoalagi-e-rabt ki shikayat thi sulagti aankh ki darzon mein aur kya hota jahan na ped uge the na aag hi barsi wahan hamare liye kaun sa khuda hota main ehtijaj se bahar bhi sochta shayad shab-e-farar agar koi dar khula hota tadap nahin na sahi khair-maqdami ke liye tera tapak na hota tera gila hota