dhundh mazi ki wo aab-e-chashm se dhone laga

dhundh mazi ki wo aab-e-chashm se dhone laga
aaine mein dekh kar mujh ko koi rone laga

mil gae kuchh phul sukhe kal kitabon mein mujhe
aur kisi ki yaad ka jangal hara hone laga

khwab mujh ko phir pareshan kar rahe hain aaj-kal
kaun jaane jism ke andar mere sone laga

tut kar jate hue taron ne ye mujh se kaha
chand bhi ab aasman mein nafraten bone laga

aa gaya ghazlon ka majmua mera bazar mein
dil ka sara bojh ek diwan ab dhone laga

pyas kam hone lagi jab se samundar ki 'ratan'
bas usi din se nadi ka qad bada hone laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close