dhundiye din raat hafton aur mahinon ke batan la-makan mein kho gae hain in makinon ke button sirf chhune se nazar aata hai manzar ka fareb dekhne mein khush-numa hain aabginon ke button daras-e-taqwa dene wale ki qaba par dekhiye sone chandi aur chamkile naginon ke button ab gareban chaak ka matlab batane ke liye kholne padte hain akasr aastinon ke button jab sada-e-kun ka ugla marhala aa jaega aasman ke kaj mein honge zaminon ke button koi hai, warna ye duniya kis qadar barbaad ho pagalon ke hath mein hain sab mashinon ke button