DhunDte phirte hain zaKHmon ka mudawa nikle

dhundte phirte hain zakhmon ka mudawa nikle
is bhare shahr mein koi to masiha nikle

uf ye amboh-e-rawan hae meri tanhai
kahin rasta nazar aae koi tum sa nikle

chand se chehron pe pathrai hui zard aankhen
koi batlao ye kis shahr mein hum aa nikle

pas-e-diwar khada hai koi tanha kab se
tu na nikle tere ghar se tera saya nikle

jin pe sau naz kare anjuman-arai bhi
ghaur se dekha to wo log bhi tanha nikle

ye sitaron ke tadapte hue simin paikar
jaane kab raat dhale nur ka dariya nikle

chand suraj se bhi tariki-e-dauran na gai
dekhiye parda-e-akhliq se ab kya nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close