dhup bhi chandni hai saya-e-ashjar se dekh

dhup bhi chandni hai saya-e-ashjar se dekh
koi bazar sahi chashm-e-kharidar se dekh

daere qausen khat-e-rang bayaz-e-dil par
roz ek aalam-e-nau hai teri raftar se dekh

jagte sote jaziron ke dhundalke mein bala
phir usi tarah mujhe parda-e-inkar se dekh

phir saza-war hai tujh ko mere har aib se pyar
pahle tu mera hunar dida-e-aghyar se dekh

main ki patthar sahi tabir-e-sanam-khana hun
to mera shoala-e-jaan teshe ki jhankar se dekh

zad mein aate rahe tere shah-o-farzin kya kya
apni jiti hui bazi ko meri haar se dekh

'shaz' suraj bhi tamashai hua aaj ke din
rukhsat-e-saya-e-diwar hai diwar se dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close