dhup mein sae se bichhDa to nahin ja sakta

dhup mein sae se bichhda to nahin ja sakta
phir bhi is dil se ye dar sa to nahin ja sakta

jis ki diwar kisi waqt bhi gir sakti ho
yar us kamre mein thahra to nahin ja sakta

ruh aur jism ke jhagdon se hai taklif magar
ruh aur jism ko banta to nahin ja sakta

apne hamsae se raghbat to hamein hai lekin
der tak dhup mein baitha to nahin ja sakta

koi ummid nahin panchhiyon ke aane ki
phir bhi us ped ko kata to nahin ja sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close