dhup si umr basar karna hai By Ghazal << umr guzri hai sahaare nah... ek KHayal-afroz mauj aai ... >> dhup si umr basar karna hai ek diwar ko sar karna hai aankh to sirf shahadat degi dil ko tasdiq-e-sahar karna hai ab fasilon pe ugana hai gulab fauj ko shahr-badar karna hai sirf jugnu sa chamakna hai 'shahab' kab mujhe kar-e-khizar karna hai Share on: