dil aaina hai jauhar-e-aks ru hai yun hi tujh se main hun yun hi mujh mein tu hai agar gul hai tu jaan-e-bulbul bhi tu hai tu har rang mein rang tu har bu mein bu hai meri khak ashk-e-nadamat se tar hai tayammum bhi kariye to hukm-e-wuzu hai baja lan-tarani hai khamosh hain hum jo uth jae parda to phir guftugu hai teri zulf-e-purkham ka diwana hun main na zanjir-e-pa hai na tauq-e-gulu hai tasawwur mein abru ke jo mar gaya hun pas-e-marg kaba mere ru-ba-ru hai gareban-e-sad-chaak hai daman-e-gul na paiwand ki ja na kar-e-rafu hai tere munh ko dekhun tere sath soun ye hi hasrat-e-dil ye hi aarzu hai main dauran-e-sar se jo sar phodta hun na mai hai na saqi na jam-e-subu hai chhuri kya hai talwar bhi mar qatil qaba-e-badan ko bhi shauq-e-rafu hai nahata hai ghairon ke hamrah qatil mere aab-e-shamshir hi ta-gulu hai tere jalwe se hai dil-e-'arsh' raushan jo wo subh-e-sadiq to khurshid tu hai