dil agar mail-e-itab na ho dard ka dard phir jawab na ho aisi karwat bhi koi karwat hai jis ke pahlu mein inqalab na ho kyun chamak uttha aaj mai-khana tere saghar mein aaftab na ho bahr-e-hasti mein na-khuda-e-jahan zindagi surat-e-habab na ho dil se koshish kare agar insan ghair-mumkin hai kaamyab na ho kyun pareshan rahta hai 'ghawwas' teri taqdir mahw-e-khwab na ho