dil ajab jalwa-e-ummid dikhata hai mujhe

dil ajab jalwa-e-ummid dikhata hai mujhe
sham se 'yas' sawera nazar aata hai mujhe

jalwa-e-dar-o-rasan apne nasibon mein kahan
kaun duniya ki nigahon pe chadhata hai mujhe

dil ko lahraata hai hangama-e-znidan-e-bala
shor-e-iza-talabi wajd mein lata hai mujhe

pa-e-azad hai zindan ke chalan se bahar
bediyan kyun koi diwana pahnata hai mujhe

hans ke kahta hai ki ghar apna qafas ko samjho
sabaq ulta mera sayyaad padhata hai mujhe

jaise dozakh ki hawa kha ke abhi aaya hai
kis qadar waiz-e-makkar daraata hai mujhe

phat paden ab hi dar-o-baam to parda rah jae
falak-e-khana-kharab aankh dikhata hai mujhe

didani hai chaman-arai-e-chashm-e-ibrat
sair-e-taza gul-e-pazhmurda dikhata hai mujhe

tark-e-matlab se hai matlab to duaen kaisi
subh tak kyun dil-e-bimar jagata hai mujhe

nang-e-mahfil mera zinda mera murda bhaari
kaun uthata hai mujhe kaun bithata hai mujhe

lab-e-dariya ka hua main na tah-e-dariya ka
kaun se ghat ye dhaara liye jata hai mujhe

panw soe hain magar jagte hain apne nasib
kya samajh kar jaras-e-gung jagata hai mujhe

'yas' manzil hai meri manzil-e-anqa-e-kamal
lucknow mein koi kyun dhundne aata hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close