dil apna harif-e-saill-e-bala ab kya kahen kitna tut gaya aaj aur thapede takrae aaj aur kinara tut gaya paikar hi jin ka shewa ho wo tund hawaen kya samjhen gulzar to hum par tang hua bazu to hamara tut gaya mitti se khwab tarasha tha so us ki ye tabir mili ab aadha gharaunda baqi hai aur aadha gharaunda tut gaya ghar bhi wahi ghar wale bhi wahi par kya lage is mahaul mein ji diwar se rishta qaem hai sae se rishta tut gaya jis ke liye bachcha roya tha aur ponchhe the aansu baba ne wo bachcha ab bhi zinda hai wo mahnga khilauna tut gaya kab dida-e-gul hua daman jo jab chhod gai gul ko khushbu kab aaya shajar ko hosh-e-numu jab patta patta tut gaya