dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke su-e-matlub gaya dariya se ye moti nikla tha dariya hi mein ja kar dub gaya ahwal-e-jawani piri mein kya arz karun ek qissa hai wo tarz gai wo waza gai andaz gaya uslub gaya la-raib khamoshi ne teri tasir dikha di maston ko be-bak jo mai-kash tha saqi us bazm se wo mahjub gaya be-rahila-wa-be-zad-e-safar rahmat pe bharosa farma kar jo mulk-e-adam mein basne ko is tarah gaya wo khub gaya bad-haal bahut tha us par bhi ai yar kisi ne li na khabar bad mar ke tere kuche se aakhir ko tera majzub gaya rizwan ne kiya dar khuld ka wa huren huin sadqe aa aa kar ghilman ne qadam chume us ke jo teri taraf mansub gaya taqat jo nahin ab hairat se taswir ka aalam rahta hai wo aakhir-e-shab ki aah gai wo laghra-e-mahbub gaya yan apni saza bhugti us ne rahmat ki nazar hogi us par har-chand khata-kar-e-ulfat kuche se tere matub gaya hairat hai abas ai jo in besh-baha mansubon par is tarah ke moti tab nikle jab zer-e-zamin main dub gaya kya us ka sabab main arz karun kuchh waqiye aise pesh aae main rota hua aaya tha yahan chup yan se gaya marub gaya kuche mein tere ab 'shad' nahin le pak khuda ne ki ye zamin sad shukr sara-e-fani se aakhir wo sag-e-mayub gaya