dil bujhne laga aatish-e-ruKHsar ke hote

dil bujhne laga aatish-e-rukhsar ke hote
tanha nazar aate hain gham-e-yar ke hote

kyun badle hue hain nigah-e-naz ke andaz
apno pe bhi uth jati hai aghyar ke hote

viran hai nazar meri tere rukh ke muqabil
aawara hain gham kucha-e-dildar ke hote

ek ye bhi ada-e-dil-e-ashufta-saran thi
baithe na kahin saya-e-diwar ke hote

jina hai to ji lenge bahar-taur diwane
kis baat ka gham hai rasan-o-dar ke hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close