dil-e-betab aafat hai bala hai

dil-e-betab aafat hai bala hai
jigar sab kha gaya ab kya raha hai

hamara to hai asl-e-muddaa tu
khuda jaane tera kya muddaa hai

mohabbat-kushta hain hum yan kisu pas
hamare dard ki bhi kuchh dawa hai

haram se dair uth jaana nahin aib
agar yan hai khuda wan bhi khuda hai

nahin milta sukhan apna kisu se
hamara guftugu ka dhab juda hai

koi hai dil khinche jate hain udhar
fuzuli hai tajassus ye ki kya hai

marun main is mein ya rah jaun jita
yahi shewa mera mehr-o-wafa hai

saba udhar gul udhar sarw udhar
usi ki bagh mein ab to hawa hai

tamasha-kardani hai dagh-e-sina
ye phul is takhte mein taza khila hai

hazaron un ne aisi kin adaen
qayamat jaise ek us ki ada hai

jagah afsos ki hai baad chande
abhi to dil hamara bhi baja hai

jo chupke hun kahe chupke ho kyun tum
kaho jo kuchh tumhaara muddaa hai

sukhan kariye to howe harf-zan yun
bas ab munh mund le main ne suna hai

kab us begana-khu ko samjhe aalam
agarche yar aalam-ashna hai

na aalam mein hai ne aalam se bahar
pa sab aalam se aalam hi juda hai

laga main gird sar phirne to bola
tumhaara 'mir' sahib sar-phira hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close