dil hai apna na ab jigar apna kar gai kaam wo nazar apna ab to donon ki ek haalat hai dil sambhaalun ki main jigar apna main hun go be-khabar zamane se dil hai pahlu mein ba-khabar apna dil mein aae the sair karne ko rah pade wo samajh ke ghar apna tha bada marka mohabbat ka sar kiya main ne de ke sar apna ashk-bari nahin ye dar-parda haal kahti hai chashm-e-tar apna kya asar tha nigah-e-saqi mein nashsha utra na umr bhar apna chaara-gar de mujhe dawa aisi dard ho jae chaara-gar apna waza-dari ki shan hai ye 'jalil' rang badla na umr bhar apna
This is a great shan e hussain shayari. True lovers of sharab ka nasha shayari will love this. Please share if you liked this!!!