dil hamari taraf se saf karo jo hua so hua muaf karo mujh se kahti hai us ki shan-e-karam tum gunahon ka e'tiraf karo husn un ko ye rae deta hai kaam ummid ke khilaf karo hazrat-e-dil yahi hai dair o haram khana-e-yar ka tawaf karo tur-e-sina ki samt jaen kalim 'nuh' tum sair-e-koh-e-qaf karo