dil hi dil mein dard ke aise ishaare ho gae gham zamane ke sharik-e-gham hamare ho gae jo abhi mahfuz hain tanqid hai un ka shiar haal un ka puchhiye jo be-sahaare ho gae bin khile murjha gain kaliyan chaman mein kis qadar zard-ru kis darja hae mah-pare ho gae amn ki taqat ko kuchla sach ko ruswa kar diya dushmanon ke chaar-din mein ware-nyare ho gae ye zamana kis qadar bar-e-garan sabit hua apne begane hue begane pyare ho gae dushman-e-din dushman-e-jaan dushman-e-amn-o-sukun ek do ka zikr kya sare ke sare ho gae dubne walon se zaid kha raha hai un ka gham jin ko sahil tegh-e-uryan ke kinare ho gae ashk-e-gham mein nur-e-rahmat is tarah shamil raha chand-taron se siwa ye chand-tare ho gae haif gulzar-e-jahan mein chha gai gham ki ghata jo shagufe the chaman mein wo sharare ho gae