dil ishq-e-khush-qadan mein jo khwahan-e-nala tha diwana-war silsila-jumban-e-nala tha nale se mere kya hai hawai ko ham-sari tir-e-shahab raat ko qurban-e-nala tha dhundun na kyunki dil ko main ai aahuwan-e-dasht sine mein wo to sher-e-niyastan-e-nala tha karta tha jin dinon ye falak hum se sar-kashi nawak-zani ka aah se paiman-e-nala tha ishq-e-butan tha dil se jo dam-saz misl-e-nai har dam asar mein taba-e-farman-e-nala tha sayyaad ke jigar mein kare tha sinan ka kaam murgh-e-qafas ke sar pe ye ehsan-e-nala tha gade falak pe kya ye dil-e-na-tawan alam wo din gae jo auj-e-farawan-e-nala tha kal shab ko zikr tha jo kisi neza-baz ka aashiq ka tere charkh sana-khwan-e-nala tha yaron ke qafile ki mujhe jab ki yaad thi sine mein jun jaras mere saman-e-nala tha mat puchh wardat-e-shab-e-hijr ai 'nasir' main kya kahun jo kar-e-numayan-e-nala tha lene ko akhtran-e-falak se khiraj-o-baj har aan shoala-o-sharar-afshan-e-nala tha