dil ishq mein be-payan sauda ho to aisa ho dariya ho to aisa ho sahra ho to aisa ho ek khal-e-suwaida mein pahnai-e-do-alam phaila ho to aisa ho simta ho to aisa ho ai qais-e-junun-pesha 'insha' ko kabhi dekha wahshi ho to aisa ho ruswa ho to aisa ho dariya ba-hubab-andar tufan ba-sahab-andar mahshar ba-hijab-andar hona ho to aisa ho hum se nahin rishta bhi hum se nahin milta bhi hai pas wo baitha bhi dhoka ho to aisa ho wo bhi raha begana hum ne bhi na pahchana han ai dil-e-diwana apna ho to aisa ho is dard mein kya kya hai ruswai bhi lazzat bhi kanta ho to aisa ho chubhta ho to aisa ho hum ne yahi manga tha us ne yahi bakhsha hai banda ho to aisa ho data ho to aisa ho