dil ka har ek zakhm gahra hai is se har waqt khun rista hai dam liya hum ne gham ke sae mein warna har samt khushk sahra hai us ko kis tarah main bhula deta jis ka har dam khayal aata hai bujh gaya jab se apne dil ka charagh chandni ka bhi rang phika hai ek sahaara mila hai gham ka hamein warna duniya mein kaun kis ka hai yun to kaunain mere samne hain kaun meri nazar mein tujh sa hai ye batae koi 'karamat' se mukhtalif sab se us ka lahja hai