dil ke zaKHmon ko aashkar na kar

dil ke zakhmon ko aashkar na kar
daman-e-ishq dagh-dar na kar

ghair ke dar pe sar jhuke ya-rab
mujh ko itna zalil-o-khwar na kar

main ukhuwwat pasand hun lekin
buz-dilon mein mera shumar na kar

un ki fitrat badal nahin sakti
shar-pasandon ka eatibar na kar

sirf lafzon ke tir kafi hain
khanjaron ko dilon ke par na kar

tu agar sher hai to samne aa
chhup ke khargosh ka shikar na kar

aakhirat ki bhi fikr kar 'nazim'
tut kar zindagi se pyar na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close