dil ke zakhmon se chaman mein shor barpa kar diya main ne phulon mein hansi ka teri charcha kar diya apni wahshat apni badnami ka mujh ko gham nahin us ka rona hai ki main ne tujh ko ruswa kar diya phir mariz-e-gham na bola dekh kar zalim tujhe aankhon hi aankhon mein ye kya kah diya kya kar diya samne tum aa gae main dil pakad kar rah gaya meri qismat se dawa ne dard paida kar diya hae ab koi thikana aarzuon ka nahin dil ki basti lut li zalim ne ye kya kar diya chandni ka raat ek dariya banaya mah ne motiyon se main ne par ro-ro ke dariya kar diya meri mayyat par wo aaya sab hue mahw-e-jamal maut ko bhi meri zalim ne tamasha kar diya ab shua-e-husn-e-pur-anwar hai nazzara soz teri is be-pardagi ne khud hi parda kar diya dasht-gardi ki badaulat chaar tinke chun liye aashiyan ka meri wahshat ne sahaara kar diya kya sada thi sunne wale dil pakad kar rah gae tere nalon ne to 'afsar' hashr barpa kar diya