dil ki kuduraten agar insan se dur hon

dil ki kuduraten agar insan se dur hon
sare nifaq gabr o musalman se dur hon

nazdik aa chuki hai sawari bahaar ki
barg-e-khizan-rasida gulistan se dur hon

dil is qadar gudaz hai barson hi gham rahe
aansu jo apne dida-e-giryan se dur hon

mitta nahin nawishta-e-qismat kisi tarah
jauhar kabhi na khanjar-e-burran se dur hon

fasl-e-bahaar aai hai kapdon ko phadiye
dil ke bukhar dast-o-gareban se dur hon

chhidkaw ka irada hai chashm-e-pur-ab ka
gard-o-ghubar kucha-e-jaanan se dur hon

ye tang kar raha hai to uljha rahe hain wo
daman ke pat pahle gareban se dur hon

wahsh o tuyur ko meri aahen karen halak
aab-o-giyah koh-o-bayaban se dur hon

mumkin nahin najat asiran-e-ishq ko
ye qaidi wo nahin ki jo zindan se dur hon

muddat ke baad aae hain sahra mein ai junun
do aable to khar-e-mughilan se dur hon

gardish se chashm-e-yar ke 'atish' ajab nahin
jo jo amal ki gardish-e-dauran se dur hon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close