dil ki lagi mein ab jo sirhane laga hun main muddat ke ba'd apne thikane laga hun main diwangi ko dekh to kis intiha ki hai tujh se nikal ke khud mein samane laga hun main patthar ka but bana raha ek umr jaane kyon tujh se mila to ashk bahane laga hun main makhluq ka hai kaam hi jalti pe tel ka apni lagi ko aap bujhane laga hun main kuchh naqsh ban gae hain tere lafz jod kar tujh ko tera khayal sunane laga hun main ye sochna bhi kufr ki ilzam dun tujhe apni jabin ka dagh mitane laga hun main wo ba-kamal itna kahan tir-baz tha ek hadisa tha us ke nishane laga hun main karne laga hun khatm sabhi silsile 'niyaz' bhatka hua tha laut kar aane laga hun main