dil kitna aabaad hua jab did ke ghar barbaad hue wo bichhda aur dhyan mein us ke sau mausam ijad hue namwari ki baat digar hai warna yaro socho to gulgun ab tak kitne teshe be-khun-e-farhad hue laenge kahan se bol rasile honton ki nadari mein samjho ek zamana guzra boson ki imdad hue tum meri ek khud-masti ho main hun tumhaari khud-bini rishte mein ek ishq ke hum tum donon be-buniyaad hue mera kya ek mauj-e-hawa hun par yun hai ai ghuncha-dahan tu ne dil ka bagh jo chhoda ghunche be-ustad hue ishq-mohalle mein ab yaro kya koi mashuq nahin kitne qatil mausam guzre shor hue fariyaad hue hum ne dil ko mar rakha hai aur jatate phirte hain hum dil zakhmi mizhgan khunin hum na hue jallad hue barq kiya hai aks-e-badan ne tere hamein ek tang qaba tere badan par jitne til hain sare hum ko yaad hue tu ne kabhi socha to hoga socha bhi ai mast-ada teri ada ki aabaadi par kitne ghar barbaad hue jo kuchh bhi rudad-e-sukhan thi honton ki duri se thi jab honton se hont mile to yak-dam be-rudad hue khak-nashinon se kuche ke kya kya nakhwat karte hain jaanan jaan tere darban to firaun-o-shaddad hue shahron mein hi khak uda lo shor macha lo be-ja lo jin dashton ki soch rahe ho wo kab ke barbaad hue samton mein bikhri wo khalwat wo dil ki rang-e-abaadi yani wo jo baam-o-dar the yaksar gard-o-baad hue tu ne rindon ka haq mara mai-khane mein raat gae shaikh khare sayyad hain hum to hum ne sunaya shad hue