dil ko dard-ashna kiya tu ne

dil ko dard-ashna kiya tu ne
dard-e-dil ko dawa kiya tu ne

tab-e-insan ko di sirisht-e-wafa
khak ko kimiya kiya tu ne

wasl-e-jaanan muhaal thahraya
qatl-e-ashiq rawa kiya tu ne

tha na juz gham bisat-e-ashiq mein
gham ko rahat-faza kiya tu ne

jaan thi ek wabaal furqat mein
shauq ko jaan-guza kiya tu ne

thi mohabbat mein nang minnat-e-ghair
jazb-e-dil ko rasa kiya tu ne

rah zahid ko jab kahin na mili
dar-e-mai-khana wa kiya tu ne

qata hone hi jab laga paiwand
ghair ko aashna kiya tu ne

thi jahan karwan ko deni rah
ishq ko rahnuma kiya tu ne

naw bhar kar jahan duboni thi
aql ko nakhuda kiya tu ne

badh gai jab pidar ko mehr-e-pisar
us ko us se juda kiya tu ne

jab hua mulk o mal rahzan-e-hosh
baadshah ko gada kiya tu ne

jab mili kaam-e-jaan ko lazzat-e-dard
dard ko be-dawa kiya tu ne

jab diya rah-rau ko zauq-e-talab
sai ko na-rasa kiya tu ne

parda-e-chashm the hijab bahut
husn ko khud-numa kiya tu ne

ishq ko tab-e-intizar na thi
ghurfa ek dil mein wa kiya tu ne

haram aabaad aur dair kharab
jo kiya sab baja kiya tu ne

sakht afsurda taba thi ahbab
hum ko jadu nawa kiya tu ne

phir jo dekha to kuchh na tha ya rab
kaun puchhe ki kya kiya tu ne

'haali' uttha hila ke mahfil ko
aakhir apna kaha kiya tu ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close