dil kuchh der machalta hai phir yaadon mein yun kho jata hai jaise koi ziddi bachcha rote rote so jata hai sard hawa ya tuta taw puri raat adhura chand mere aangan ki mitti ko jaane kaun bhigo jata hai ek ek kar ke dhup ke sare surkh parinde mar jate hain ret ke zard samundar par jab suraj panw dho jata hai tujh se bichhad kar raat ka ek ek lamha sadiyon mein katta hai din ke hote hote ab to ek zamana ho jata hai raat gae tanhai mujh se akasr puchhne aa jati hai chup ki is basti ko shor-o-ghul mein kaun dubo jata hai