
dil lagana chahiye chal kar kisi haiwan se darjha behtar hain ye is daur ke insan se barkaten jo uth gai hain aaj dastar-khwan se mezban darne lage hain aamad-e-mehman se fasl boi jaegi sunte hain ab mirrikh par duriyan yun badh rahi hain khet se khaliyan se kar liya hai sab ne jaez har amal is khel mein garm rakkhenge siyasat jhut se bohtan se sard hogi ek din ye aatish-e-namrud bhi barha guzre hain hum is karb ke tufan se waqt ki raftar ne sab ka badal dala mizaj shaeri bhi ho rahi hai ab nae unwan se mulk se rishta hamara hai kuchh aisa hi 'atiq' jism ka jaise hua karta hai rishta jaan se
This is a great mezbaan shayari. True lovers of jahez shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore siyasat pe shayari. Please share if you liked this!!!