dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main kitna hasin gunah kiye ja raha hun main duniya-e-dil tabah kiye ja raha hun main sarf-e-nigah-o-ah kiye ja raha hun main fard-e-amal siyah kiye ja raha hun main rahmat ko be-panah kiye ja raha hun main aisi bhi ek nigah kiye ja raha hun main zarron ko mehr-o-mah kiye ja raha hun main mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chand khud husn ko gawah kiye ja raha hun main daftar hai ek mani-e-be-lafz-o-saut ka sada si jo nigah kiye ja raha hun main aage qadam badhaen jinhen sujhta nahin raushan charagh-e-rah kiye ja raha hun main masumi-e-jamal ko bhi jin pe rashk hai aise bhi kuchh gunah kiye ja raha hun main tanqid-e-husn maslahat-e-khas-e-ishq hai ye jurm gah gah kiye ja raha hun main uthti nahin hai aankh magar us ke ru-ba-ru nadida ek nigah kiye ja raha hun main gulshan-parast hun mujhe gul hi nahin aziz kanton se bhi nibah kiye ja raha hun main yun zindagi guzar raha hun tere baghair jaise koi gunah kiye ja raha hun main mujh se ada hua hai 'jigar' justuju ka haq har zarre ko gawah kiye ja raha hun main
Please share if you liked this!!!