dil mein kitni wahshat pali ja sakti hai beach ki koi rah nikali ja sakti hai tere chhote se dil mein main kya aaunga lekin ek taswir sambhaali ja sakti hai zehn bada saffak musawwir ho sakta hai sans talak zanjir mein dhaali ja sakti hai aisa ho to dastar-khwan khula kar dena chutki mein ghar ki bad-hali ja sakti hai jis par bade badon ne hath khade kar dale do honton se baat sambhaali ja sakti hai wahan wahan par dip jalane ja sakta hun jahan jahan par goli gali ja sakti hai