dil mein rakh zakhm-e-nawa rah mein kaam aaega dasht-e-be-samt mein ek hu ka maqam aaega is tarah padhta hun bahte hue dariya ki kitab safha-e-ab par ek aks-e-payam aaega qarya-e-jaan mein the yaadon ke shanasa chehre ajnabi shahr mein kis kis ka salam aaega maslahat-kesh to gul-ha-e-sataish se lade sach ke hathon mein wahi zahr ka jam aaega raqs-e-raftar se kya raund chala phulon ko aag par chal ki tujhe lutf-e-khiram aaega khanjar-e-zahr-e-wafa dil mein chhupae kab se muntazir hun ki idhar wo sar-e-sham aaega dida-e-dil se 'zafar' khwab bhi chhin jaenge waqt kahta hai ki ab aisa nizam aaega